Assalam
oalaikum,
Sansar mein aise anek vyakti
hain jinhe kisi se prem ho jaata hai. Parantu woh apne sambandh ke bhavishya ke
bare mein koi thos nirnay nahi le paate hain. Kuch live-in relationships mein
vishvaas rakhte hain aur shadi se poorva hi pati patni ki bhaanti sath jeevan
vyateet karna aarambh kar dete hain. Kuch yeh soch ker samay vyarth karte hain
ke abhi sambandh ko kuch aur samay dena chahiye taaki woh yeh samajh sakein ke
unka apne premi se vivaah karna uchit hoga bhi ya nahin. Arthaat, is prakaar ke
sandeh mein ghir ker vyakti kisi nishkarsh per nahin pahunch sakta. Yadi woh
Islam ke siddhaant per chale to woh is duvidha se bach sakte hain kyuni Islam
mein is ka saral upaay uplabdh hai. Yadi koi do vyakti ek dusre se sacha prem
karte hon to phir unhe vivah kar lena chaihye.
Allah Azza-wa-jal Quran mein
farmaata hai:
وَهُوَ الَّذِي خَلَقَ مِنَ الْمَاءِ بَشَرًا فَجَعَلَهُ نَسَبًا وَصِهْرًا ۗ وَكَانَ رَبُّكَ قَدِيرًا
Yeh Quran Majeed ki Surah
Al-Furqan ki aayat 54 hai. Is ka anuvaad yeh hai ke, ‘Woh Allah hi hai jis ne
neer se manushya ki utpatti ki. Atev, usko vanshgat sambandhon aur susraali
rishtewala banaya. Tumhara Rab bada hi Saamarthyavaan hai’.
Is aayat se vivah ka mahatva
jhalakta hai.
وَمِنْ آيَاتِهِ أَنْ خَلَقَ لَكُم مِّنْ أَنفُسِكُمْ أَزْوَاجًا لِّتَسْكُنُوا إِلَيْهَا وَجَعَلَ بَيْنَكُم مَّوَدَّةً وَرَحْمَةً ۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَآيَاتٍ لِّقَوْمٍ يَتَفَكَّرُونَ
Yeh Quran Majeed ki Surah
Ar-Rum ki aayat 21 hai. Is ka anuvaad yeh hai ke, ‘aur yeh bhi Us ke chinhon
mein se hai ke Us ne tumhari hi sahjaati se tumhare liye jode paida kiye, taki
tum un ke nikat shaanti praapt karo. Aur Us e tumhare beech prem aur dayaaluta
utpann ki aur nischit hi is mein anek chinh hai un vyaktiyon ke liye jo
soch-vichar karte hain’.
Zahir hai ke in aayaton mein
jin jodon ka varnan kiya gaya hai woh vivaahit jode hain, live-in jode ya yunhi
parks athwa cinemaghar mein ghumte hue premi nahin.
Sankshepa mein Islam ke
siddhaanton ke anusar premiyon ko vivah ka aadesh diya gaya hai. Islam mein
jode ka arth hi vaivaahik joda hota hai evan ‘girlfriend’ aur ‘boyfriend’
shabdon ki koi sankalpana hi nahin ki ja sakti hai.
Islam vivah ke maamle mein purushon
ki is prakaar se maargdarshan karta hai:
·
‘Hazrat
Abu Huraira (ra) ne sunaya ke Rasoolullah Sallalahu alaihi wasalam ne farmaya :
‘Kisi stree se char karanon se vivah kiya ja sakta hai- uska dhan, us ki
parivaaric pratishtha, us ki sundarta evan us ki dhaarmikta. To stree ki kewal dhaarmikta
dekh ker usse vivah karo warna tumhe haani hogi’.
·
Rasoolullah
Sallalahu alaihi wasalam ne farmaya, ‘Aapas mein prem ki bhawna rakhne walon ke
liye nikah se uttam koi cheez nahin dekhi gai hai’.” (Ibn
Majah, 1847)